addy VIP
Posts : 127 Join date : 2009-11-19 Age : 35 Location : D.I.Khan
| Subject: Kabhi Nazar Se Thu Nov 19, 2009 9:17 pm | |
| Kabhi nazar se giraa diyaa, Kabhi dil mein basaa liyaa, Mohabbat mein tumne, humein, Kabhi hasaa to kabhi rulaa diyaa
Kabhie pyaar be_shumaar kiya Kabhi dard be_intehaa diya Apni dewaangee mein tumne, humein, Kis mukaam par puhancha diya
Kabhi mausam_e_bahaar se mila diya, Kabhi sehra mein tanha kar diya Dil ko khilona samajh kar tumne, Humein Har khel mein hara diyaa
Kabhi umeedon ko barhaa diya Kabhi mayoosiyon ne jeena dushwaar kiya, Phir bhi humdam humne, tumhein Pyaar ki had se. hai ziyada pyaar kiyaa | |
|