Bin uskay zindagi dard hai tanhai hai
Meri aankhon main kion mot simat ayyee hai
Kehtay hain log dost ko apna kaho
dost main phir kion ruswayee hai
wo na aya to dil ko lubhanay ko mere
Shab- e -hijar main uski yad chali ayee hai
Mehfil main reh kar bhi tanha rehna
Yeh ada uski dosti nay sikhlayee hai
Yeh bhi uski dosti ki anayat hai Yaro
Main tamasha bani or dunia tamashayee hai
Intizar main kisi kay na rat ko barbad karna
Doobtay taroon nay mujhe bat yeh samjhai hai
uss say taaluk hi kuch aisa raha hay Dostoon
jab bhi sochti ussay ankh bhar ayee hai …