addy VIP
Posts : 127 Join date : 2009-11-19 Age : 35 Location : D.I.Khan
| Subject: Wo Bhi Kiya Shakhs Hai Thu Nov 19, 2009 9:08 pm | |
| Sung jab ayina dikhata hai Taisha kya kya nazar churata hai Silsila pyas ka batata hai Pyas darya kahan bujhata hai Raig zaron may jaise tapti dhoop Yoon bhi us ka khayal ata hai Sun raha hoon khiram e umar ki chap Aks awaz banta jata hai Wo bhi kya shakhs hai ke pas a kar Fasle door tak bichata hai Ghar to aisa kahan tha laikin Dar badar hain to yad ata hai | |
|